Wednesday, April 23, 2008

Ek Raaz

Suno mere yaar
Jaana main ek raaz poore bis saal ke baad

Uta maine yaar
Ek din suraj ki kirano ke saath
Laga mujhe yaar
Bahut ee mushkil pehli baar

Gayi main yaar
Jog pe peeke paani ek gilaas
Paaya maine yaar
ajjeb sa sukun aadha gante daudne ke baad

Dekha maine yaar
Chamakte hue bondh pool patto pe
Jalka mere yaar
Aankein kushiyon ki boond ke saath

Suna maine yaar
Chitar pitar karne wali panchiyo ki awaaz
Baja mere yaar
Man main mere saatho sur ek saath

Saas li maine yaar
Shudh nirmal hawa se pehli baar
Hua mere yaar
Nas nas main ajeeb si shakti ka bahav

Jaana hain yaar
Suraj ke saath utne ki raaz
Daala hain yaar
Aadat utne ki Roz suraj ke saath
Kehti hun mere yaar
Utke dekh tu bi ek baar
Kahega mere yaar
Har din utunga main bhi suraj ke saath

Suno mere yaar
Jaana main ek raaz poore bis saal ke baad

-- Kavitha

No comments:

Post a Comment